Aaj bade din baad phir se kuch likhne ko man
chaah raha hai, wo bhi dil se. Phir se wahi font “Garamond” set kar liya hai,
font size 16 se badhakar 22 kar liya
hai, aur nikal pada hun kuch likhne . Shayad wo jo kabhi kisi se naa keh pata
par likhna chahta hun . Apne dil se . Aaj aankhon pe subbah se zor padh raha
tha. Shayad waqt ke sath kamzor ho gayi hai ye. Shayad aaj inhein bhigne ka man
kar raha tha, shayad late monsoon ki rahi sahi kasar ye nikal lena chahti thi
aaj.
Kuch jyada khaas nahi kiya aaj. Wo jo dil mein
to rehta hai, aaj aankhon ne use dekh liya aur jee bhar ke aansun udhel diye .
Subah se kuch kaam nahi tha to TV dekhkar bore hone ke baad laptop khola . Kuch
downloaded files check ki isi umeed mein ki kuch interesting mil jaye dekhne
ko, ek ghante tak air crash investigation ka 13th season dekhne ke
baad do purani files nazar aayi , naam tha crime patrol “ a nation awakens” .Ye
wahi episode tha jo delhi gangrape case pe focused tah. Pata nahi kyun itne
mahino se himmat nahi juta paya tha use dekhne ki. Lekin aaj man ne kaha dekh
lo jane dil ki kuch girhain khul jaye. 20 may ko download kiya hua show mein
aaj bore hone par 9 july ko dekh raha tha . Kuch hi minute hue the ki aankhon
ka baandh jo subah se jaise taise sambhala tha iss show ko dekh ke tut gaya.
Aankhein ka vision blur ho gaya , shayad sachhai dekhne ki himmat nahi kar paya
tha main. Jo hua use badal to nahi sakta hun, but jo juvenile court ka decision
tha us nabalig gunehgar ko 3 saal ki saza dene ka , wo mujhe kuch raas nahi
aaya. Logon ka candle march nikalna bhi muhje raas nahi aaya, kyunki kahin na
kahin ye wohi log hai jab uss victim ko sabse pehle medical treatment ki
zaroorat thi to kisi ne madad nahi ki . Ab mombattiyon ko jalake kya ho jata.
Mombatti bhuj gayi hai, lekin uske pariwar wale aaj bhi kahi na kahi jal rahe
honge. Ye samaj unhe jine nahi dega. Aur iss baat ki main guarantee le sakta
hun. Aise hi hai hum , hum kyun na badi badi modernisation ki baatein karte ho , lekin hum aaj bhi janwaron
se badtar hai. Main bhi koi achhuta nahi hun, mujhe yaad hai jab mera meri
girlfriend se jhagda hua tha tab maine use yahi kaha tha ke tere saath bhi wahi
hona chahiye jo delhi mein uss bandi ke sath hua. Munh se bol to diya tha uss
waqt par aaj khud par sharam aati. Khud ko aaine mein dekhne se darta hun.
Rahi baat uss culprit ki jise minor bataya ja
raha hai, mujhe nahi pata ki main ise kis nazariye se dekhun. Lekin har tarah
se use sazaa dene ka mann karta hai.
Rapes to roz hote hain, har jagah hote hai,
kuch hi case jo media ko masaledar lagte hai wo hum tak pahunch pate hai. Jane
kya baat hai par apna desh to aisa hi hai bhai ! .
Aaj khud ko janwar kehne par mujhe fakr hai
kamsekam main un sawa crore logon ki tarah to nahi hain jo insaano ka makhauta
pehen kar insaaniyat ko sharmsaar kar rahe hai.