Wednesday, 9 July 2014

Mann kuch keh raha hai ...

Aaj bade din baad phir se kuch likhne ko man chaah raha hai, wo bhi dil se. Phir se wahi font “Garamond” set kar liya hai, font size  16 se badhakar 22 kar liya hai, aur nikal pada hun kuch likhne . Shayad wo jo kabhi kisi se naa keh pata par likhna chahta hun . Apne dil se . Aaj aankhon pe subbah se zor padh raha tha. Shayad waqt ke sath kamzor ho gayi hai ye. Shayad aaj inhein bhigne ka man kar raha tha, shayad late monsoon ki rahi sahi kasar ye nikal lena chahti thi aaj.
Kuch jyada khaas nahi kiya aaj. Wo jo dil mein to rehta hai, aaj aankhon ne use dekh liya aur jee bhar ke aansun udhel diye . Subah se kuch kaam nahi tha to TV dekhkar bore hone ke baad laptop khola . Kuch downloaded files check ki isi umeed mein ki kuch interesting mil jaye dekhne ko, ek ghante tak air crash investigation ka 13th season dekhne ke baad do purani files nazar aayi , naam tha crime patrol “ a nation awakens” .Ye wahi episode tha jo delhi gangrape case pe focused tah. Pata nahi kyun itne mahino se himmat nahi juta paya tha use dekhne ki. Lekin aaj man ne kaha dekh lo jane dil ki kuch girhain khul jaye. 20 may ko download kiya hua show mein aaj bore hone par 9 july ko dekh raha tha . Kuch hi minute hue the ki aankhon ka baandh jo subah se jaise taise sambhala tha iss show ko dekh ke tut gaya. Aankhein ka vision blur ho gaya , shayad sachhai dekhne ki himmat nahi kar paya tha main. Jo hua use badal to nahi sakta hun, but jo juvenile court ka decision tha us nabalig gunehgar ko 3 saal ki saza dene ka , wo mujhe kuch raas nahi aaya. Logon ka candle march nikalna bhi muhje raas nahi aaya, kyunki kahin na kahin ye wohi log hai jab uss victim ko sabse pehle medical treatment ki zaroorat thi to kisi ne madad nahi ki . Ab mombattiyon ko jalake kya ho jata. Mombatti bhuj gayi hai, lekin uske pariwar wale aaj bhi kahi na kahi jal rahe honge. Ye samaj unhe jine nahi dega. Aur iss baat ki main guarantee le sakta hun. Aise hi hai hum , hum kyun na badi badi modernisation  ki baatein karte ho , lekin hum aaj bhi janwaron se badtar hai. Main bhi koi achhuta nahi hun, mujhe yaad hai jab mera meri girlfriend se jhagda hua tha tab maine use yahi kaha tha ke tere saath bhi wahi hona chahiye jo delhi mein uss bandi ke sath hua. Munh se bol to diya tha uss waqt par aaj khud par sharam aati. Khud ko aaine mein dekhne se darta hun.
Rahi baat uss culprit ki jise minor bataya ja raha hai, mujhe nahi pata ki main ise kis nazariye se dekhun. Lekin har tarah se use sazaa dene ka mann karta hai.
Rapes to roz hote hain, har jagah hote hai, kuch hi case jo media ko masaledar lagte hai wo hum tak pahunch pate hai. Jane kya baat hai par apna desh to aisa hi hai bhai ! .

Aaj khud ko janwar kehne par mujhe fakr hai kamsekam main un sawa crore logon ki tarah to nahi hain jo insaano ka makhauta pehen kar insaaniyat ko sharmsaar kar rahe hai.

No comments:

Post a Comment

A lost hope

Fountains of lament burst through my desires for you.. Stood like the height of a pillar that you were, I could see your moving eyes ...